ghazal mir ki kab paDhai nahin

ġhazal ‘mīr’ kī kab paḌhā.ī nahīñ
ki hālat mujhe ġhash kī aa.ī nahīñ

zabāñ se hamārī hai sayyād ḳhush
hameñ ab ummīd-e-rihā.ī nahīñ

kitābat ga.ī kab ki us shoḳh ne
banā us kī gaDDī uḌaa.ī nahīñ

nasīm aa.ī mere qafas meñ abas
gulistāñ se do phuul laa.ī nahīñ

mirī dil-lagī us ke rū se hī hai
gul-e-tar se kuchh āshnā.ī nahīñ

navishte kī ḳhūbī likhī kab ga.ī
kitābat bhī ek ab tak aa.ī nahīñ

judā rahte barsoñ hue kyūñki ye
kināya nahīñ be-adā.ī nahīñ

gila hijr kā sun ke kahne lagā
hamāre tumhāre judā.ī nahīñ

siyah-tāla.ī merī zāhir hai ab
nahīñ shab ki us se laḌā.ī nahīñ

Print Friendly, PDF & Email

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *