Skip to content

ho gai shahr shahr ruswai

ho ga.ī shahr shahr rusvā.ī
ai mirī maut tū bhalī aa.ī

yak bayābāñ ba-rañg saut-e-jaras
mujh pe hai bekasī o tanhā.ī

na khiñche tujh se ek jā naqqāsh
us kī tasvīr vo hai harjā.ī

sar rakhūñ us ke paañv par lekin
dast-e-qudrat ye maiñ kahāñ paa.ī

‘mīr’ jab se gayā hai dil tab se
maiñ to kuchh ho gayā huuñ saudā.ī

Print Friendly, PDF & Email
Published inmir-ghazal

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *