Skip to content

ishq hamare KHayal paDa hai KHwab gai aaram gaya

ishq hamāre ḳhayāl paḌā hai ḳhvāb ga.ī ārām gayā
jī kā jaanā Thahar rahā hai sub.h gayā yā shaam gayā

ishq kiyā so diin gayā īmān gayā islām gayā
dil ne aisā kaam kiyā kuchh jis se maiñ nākām gayā

kis kis apnī kal ko rove hijrāñ meñ bekal us kā
ḳhvāb ga.ī hai taab ga.ī hai chain gayā ārām gayā

aayā yaañ se jaanā hī to jī kā chhupānā kyā hāsil
aaj gayā yā kal jāvegā sub.h gayā yā shaam gayā

haa.e javānī kyā kyā kahiye shor saroñ meñ rakhte the
ab kyā hai vo ahd gayā vo mausam vo hañgām gayā

gaalī jhaḌkī ḳhashm o ḳhushūnat ye to sar-e-dast aksar haiñ
lutf gayā ehsān gayā in.aam gayā ikrām gayā

likhnā kahnā tark huā thā aapas meñ to muddat se
ab jo qarār kiyā hai dil se ḳhat bhī gayā paiġhām gayā

nāla-e-‘mīr’ savād meñ ham tak doshīñ shab se nahīñ aayā
shāyad shahr se us zālim ke āshiq vo badnām gayā

Print Friendly, PDF & Email
Published inmir-ghazal

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *