Skip to content

ishq kya kya aafaten lata raha

ishq kyā kyā āfateñ laatā rahā
āḳhir ab duurī meñ jī jaatā rahā

mehr o mah gul phuul sab the par hameñ
chehra.ī chehra hī vo bhātā rahā

dil huā kab ishq kī rah kā dalīl
maiñ to ḳhud gum hī use paatā rahā

muñh dikhātā barsoñ vo ḳhush-rū nahīñ
chaah kā yuuñ kab talak naatā rahā

kuchh na maiñ samjhā junūn o ishq meñ
der nāseh mujh ko samjhātā rahā

daaġh thā jo sar pe mere sham.a saañ
paañv tak mujh ko vahī khātā rahā

kaise kaise ruk ga.e haiñ ‘mīr’ ham
muddatoñ muñh tak jigar aatā rahā

Print Friendly, PDF & Email
Published inmir-ghazal

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *