Skip to content

ishq mein kuchh nahin dawa se nafa

ishq meñ kuchh nahīñ davā se nafā
kuḌhiye kab tak na ho balā se nafā

kab talak in butoñ se chashm rahe
ho rahegā bas ab ḳhudā se nafā

maiñ to ġhair az zarar na dekhā kuchh
DhūñDho tum yaar o āshnā se nafā

muġhtanim jaan gar kisū ke ta.iiñ
pahuñche hai tere dast o pā se nafā

ab faqīroñ se kah haqīqat-e-dil
‘mīr’ shāyad ki ho duā se nafā

Print Friendly, PDF & Email
Published inmir-ghazal

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *