Skip to content

kuchh karo fikr mujh diwane ki

kuchh karo fikr mujh dīvāne kī
dhuum hai phir bahār aane kī

dil kā us kunj-e-lab se de hai nishāñ
baat lagtī to hai Thikāne kī

vo jo phirtā hai mujh se duur hī duur
hai ye taqrīb jī ke jaane kī

tez yuuñ hī na thī shab ātish-e-shauq
thī ḳhabar garm us ke aane kī

ḳhizr us ḳhat-e-sabz par to muā
dhun hai ab apne zahr khāne kī

dil-e-sad-chāk bāb-e-zulf hai lek
baao sī bañdh rahī hai shāne kī

kisū kam-zarf ne lagā.ī aah
tujh se mai-ḳhāne ke jalāne kī

varna ai shaiḳh-e-shahar vājib thī
jām-dārī sharāb-ḳhāne kī

jo hai so pā.emāl-e-ġham hai ‘mīr’
chaal be-Dol hai zamāne kī

Print Friendly, PDF & Email
Published inmir-ghazal

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *