Skip to content

kuchh mauj-e-hawa pechan ai mir nazar aai

kuchh mauj-e-havā pechāñ ai ‘mīr’ nazar aa.ī
shāyad ki bahār aa.ī zanjīr nazar aa.ī

dillī ke na the kūche aurāq-e-musavvar the
jo shakl nazar aa.ī tasvīr nazar aa.ī

maġhrūr bahut the ham aañsū kī sarāyat par
so sub.h ke hone ko tāsīr nazar aa.ī

gul-bār kare haigā asbāb-e-safar shāyad
ġhunche kī tarah bulbul dil-gīr nazar aa.ī

us kī to dil-āzārī be-hech hī thī yaaro
kuchh tum ko hamārī bhī taqsīr nazar aa.ī

Print Friendly, PDF & Email
Published inmir-ghazal

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *