Skip to content

kya haqiqat kahun ki kya hai ishq

kyā haqīqat kahūñ ki kyā hai ishq
haq-shanāsoñ ke haañ ḳhudā hai ishq

dil lagā ho to jī jahāñ se uThā
maut kā naam pyaar kā hai ishq

aur tadbīr ko nahīñ kuchh daḳhl
ishq ke dard kī davā hai ishq

kyā Dubāyā muhīt meñ ġham ke
ham ne jaanā thā āshnā hai ishq

ishq se jā nahīñ koī ḳhālī
dil se le arsh tak bharā hai ishq

kohkan kyā pahāḌ kāTegā
parde meñ zor-āzmā hai ishq

ishq hai ishq karne vāloñ ko
kaisā kaisā baham kyā hai ishq

kaun maqsad ko ishq bin pahuñchā
aarzū ishq mudda.ā hai ishq

‘mīr’ marnā paḌe hai ḳhūbāñ par
ishq mat kar ki bad balā hai ishq

Print Friendly, PDF & Email
Published inmir-ghazal

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *