Skip to content

rah-e-dur-e-ishq mein rota hai kya

rāh-e-dūr-e-ishq meñ rotā hai kyā
aage aage dekhiye hotā hai kyā

qāfile meñ sub.h ke ik shor hai
ya.anī ġhāfil ham chale sotā hai kyā

sabz hotī hī nahīñ ye sarzamīñ
tuḳhm-e-ḳhvāhish dil meñ tū botā hai kyā

ye nishān-e-ishq haiñ jaate nahīñ
daaġh chhātī ke abas dhotā hai kyā

ġhairat-e-yūsuf hai ye vaqt-e-azīz
‘mīr’ is ko rā.egāñ khotā hai kyā

Print Friendly, PDF & Email
Published inmir-ghazal

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *