Skip to content

umr bhar hum rahe sharabi se

umr bhar ham rahe sharābī se
dil-e-pur-ḳhūñ kī ik gulābī se

jī Dhahā jaa.e hai sahar se aah
raat guzregī kis ḳharābī se

khilnā kam kam kalī ne sīkhā hai
us kī āñkhoñ kī nīm-ḳhvābī se

burqa uThte hī chāñd sā niklā
daaġh huuñ us kī be-hijābī se

kaam the ishq meñ bahut par ‘mīr’
ham hī fāriġh hue shitābī se

Print Friendly, PDF & Email
Published inmir-ghazal

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *